Saba Naqvi

naya shagufa ishaara-e-yar par khila hai

Saba Naqvi

Muzaffarpur, Bihar, India

1940
nayā shagūfa ishāra-e-yār par khilā hai
gulāb ab ke chaman kī dīvār par khilā hai
ye kaisī añgḌā.ī lī hai ehsās-e-zindagī ne
masīh kā rañg rū-e-bīmār par khilā hai
nafī kā jaadū jagā rahī haiñ tilismī āñkheñ
vo harf-e-matlab fasīl-e-izhār par khilā hai
kitāb-e-ruḳh hai hijāb-e-taqdīs-e-husn-e-jānāñ
ye raaz kaisā mazāq-e-dīdār par khilā hai
bahār-āgīñ hayāt-afroz phuul ban kar
lahū kā chhīñTā qabā-e-īsār par khilā hai
mujhe banāyā gayā thā ḳhāmoshiyoñ kā paikar
ye ġhuncha-e-lab kisī ke isrār par khilā hai
'sabā' kā zauq-e-suḳhan nigār-e-ġhazal ke haq meñ
vo kaalā til hai jo gore ruḳhsār par khilā hai
Top Urdushayar.com