Saba Naqvi

naghma-zan hai nazar-e-be-awaz

Saba Naqvi

Muzaffarpur, Bihar, India

1940
naġhma-zan hai nazar-e-be-āvāz
kyuuñ mire dil asar-e-be-āvāz
mere dil se unheñ apne dil kī
mil rahī hai ḳhabar-e-be-āvāz
laakh kirnoñ kī zabāñ rakhtā hai
ek nūr-e-sahar-e-be-āvāz
huī barbād pas-e-be-hunrāñ
sa.ī-e-arz-e-hunar-e-be-āvāz
pa.e hañgāma-e-hastī-e-bashar
maut hai chāragar-e-be-āvāz
hai vo be-pāñv guzarne kī dalīl
irtiqā kā safar-e-be-āvāz
rañg laayā hai sadā ban ke 'sabā'
merā ḳhūn-e-jigar-e-be-āvāz
Top Urdushayar.com