qalam se rābta-e-rang-o-āb TuuT gayā
kisī musavvir-e-fitrat kā ḳhvāb TuuT gayā
ye dil ki sañg na thā ek ābgīna thā
na lā sakā tire jalvoñ kī taab TuuT gayā
savāl ye hai ki maiñ ne kisī se kyā paayā
javāb ye hai ki barsoñ kā ḳhvāb TuuT gayā
huā vo mujh se muḳhātab to yuuñ lagā jaise
koī sitāra-e-gardūñ-rikāb TuuT gayā
usūl-e-āmad-o-raft-e-bahār kyā kahiye
kalī jo shāḳh pe aa.ī gulāb TuuT gayā
ġhazal ke sher jo rusvā-e-intiḳhāb hue
bharam nazar kā pas-e-intiḳhāb TuuT gayā
rah-e-havas meñ thī haa.il zamīr kī āvāz
magar taqaddus-e-ahd-e-shabāb TuuT gayā