mahāz-e-zindagī ke har muhārib se laḌo sāhab
kabhī aage baḌho sāhab kabhī pīchhe haTo sāhab
kabhī ḳhud bhī to samjho aql-ārā.ī kī talqīneñ
kuchh apne sāhiboñ se tarz-e-istibsār lo sāhab
kahāñ tak ham batāte jaa.eñ kab kyā kaise karnā hai
kuchh apne aap bhī achchhā burā samjhā karo sāhab
tavaqquf bhī safar kā rukn hai ab ye bhī samjhā.eñ
kahāñ ham ne kahā tum se ki bas chalte raho sāhab
pa.e-islāh-e-himmat aur basīrat donoñ lāzim haiñ
ki ḳhud qābil banū itne yā ham par chhoḌ do sāhab
zamāne ke tamāshoñ meñ ulajhnā be-vaqūfī hai
nazar bhar kar na dekho dekh kar aage baḌho sāhab
dobāra kho diyā hai tum ne ḳhud zauq-e-salīm apnā
dobāra ġhaur phir apne hī maazī par karo sāhab
hamesha imtisāl-e-amr ḳhāliq kā irāda ho
ḳhayāl-e-ittibā-e-amr-e-nafsī duur ho sāhab
arab hote to maḳhraj aur talaffuz se samajh jaate
magar urdu meñ aisā hai paḌho sāhab likho sāhab
vo jab bhī diin meñ 'tamjīd' āzādī kī bāteñ hoñ
ye lāzim hai ki lā-ikrāh ho irshād ho sāhab