Syed Tamjeed Haider Tamjeed

phir umr-bhar ki nala-sarai ka waqt hai

Syed Tamjeed Haider Tamjeed

phir umr-bhar kī nāla-sarā.ī kā vaqt hai
ai dil phir ek baar judā.ī kā vaqt hai
kaam aa na pā.eñge mujhe ye nīm-bāz ab
ai chashm-e-tar ye dīda-darā.ī kā vaqt hai
siine meñ yaañ koī dil-e-be-mudda.ā nahīñ
haañ chup huuñ is liye ki bhalā.ī kā vaqt hai
majbūr taur huuñ so maiñ shīrīñ navā rahūñ
go jāntā huuñ talḳh-navā.ī kā vaqt hai
mujh ko mire ruḳh-e-araq-ālūd kī qasam
uTThūñ jo vo kahe ki laḌā.ī kā vaqt hai
ab ke huī hai phir se qafas-zādoñ ko umiid
ḳhush ho ke kah rahe haiñ rihā.ī kā vaqt hai
murġh-e-sahar hai murġh-e-musalla.a hai aur sub.h
tīnoñ ke beach zor-numā.ī kā vaqt hai
'tamjīd' fikr kar maraz-e-jāñ-gudāz kī
bedār ho ki rāh-numā.ī kā vaqt hai
Top Urdushayar.com