zamīn-e-ishq pe ai abr-e-e.atibār baras
visāl-e-yār kā bah jaa.e intizār baras
sharāb-e-shauq kahīñ mujh ko kar na de mad.hosh
tirī tarī se utar jaa.e ye ḳhumār baras
mire habīb ko de duuñ vafā kā ik motī
khulā hai dil kā sadaf aa bas ek baar baras
pa.e numūd na garmī hai ishq kī na havā
daraḳht ziist ke haiñ ḳhushk barg-o-bār baras
kahīñ najāt kā dariyā na sūkhne lag jaa.e
chalā kare mirī kashtī kā kārobār baras
zamīn-e-dil meñ ugī hai anā kī fasl na.ī
tabāh kar de diyā maiñ ne iḳhtiyār baras
kahīñ unheñ na ho ḳhanda-labī pe vahm-o-gumāñ
dikhā de bekasī ai chashm-e-be-qarār baras
vo ek pal jo tire ishtiyāq meñ guzrā
us ek pal meñ simaT aa.e haiñ hazār baras
tire barasne se paanī hai qalb dushman kā
amal ye nek hai 'tamjīd' baar baar baras