raushnī kyā paḌī hai kamre meñ
dhuul uḌne lagī hai kamre meñ
mujh ko ghere hue hai merā vajūd
ye haqīqat khulī hai kamre meñ
mujh ko bāhar kahīñ nikalnā hai
raat hone lagī hai kamre meñ
apnī sāñsoñ ko sun rahā huuñ maiñ
kis qadar ḳhāmushī hai kamre meñ
ik zarā sā tirā ḳhayāl aayā
raushnī ho ga.ī hai kamre meñ