koī shai hai jo sansanātī hai
ek dahshat sī phail jaatī hai
zindagī kaT rahī hai saa.e meñ
dhuup aatī hai lauT jaatī hai
jaise jañgal pukārtā ho mujhe
rāt-bhar ik sadā sī aatī hai
guuñj uThtā hai gahrā sannāTā
niiñd jab dhaḌkanoñ ko aatī hai
kaisī yādoñ ke diip jal uThe
duur tak raushnī nahātī hai
itnī ġhazloñ meñ koī achchhī ġhazal
ik zamāne ke ba.ad aatī hai