har ek samt ishāre the aur rasta bhī
malāl ye hai ki aayā na ham ko chalnā bhī
hamārī pyaas mukammal ho to qadam bhī uTheñ
rakhe haiñ sāmne dariyā bhī aur sahrā bhī
bujhe charāġh to hairāniyāñ kuchh aur baḌhīñ
hamāre saath hai ab tak hamārā saayā bhī
ik aisī lahr uThī Dūbne kā ḳhauf uThā
ab ek jaise haiñ mañjdhār bhī kināra bhī
safar se lauT to aayā magar na thā ma.alūm
hamāre saath chalā aa.egā ye rasta bhī