Salahuddin Ayyub

us ek dar ko bhi diwar kar ke aaya hun

Salahuddin Ayyub

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1982
us ek dar ko bhī dīvār kar ke aayā huuñ
maiñ apne aap se inkār kar ke aayā huuñ
mujhe ḳhabar hai ki ye pyaas maar Dālegī
magar maiñ aab ko dushvār kar ke aayā huuñ
bachā bachā ke rakhā thā jise zamāne se
vo gumbad aaj maiñ mismār kar ke aayā huuñ
mubādā ḳhvāb bikharnā muhāl ho jaa.e
maiñ ḳhud ko niiñd se bedār kar ke aayā huuñ
na tairtī thī na jo Dūbtī thī muddat se
havāle kashtī ko mañjdhār kar ke aayā huuñ
mirā qusūr bas itnā hī sā to hai 'ayyūb'
ki Dūbte ko maiñ us paar kar ke aayā huuñ
Top Urdushayar.com