Salahuddin Ayyub

bandishen toD ke aisa to nikal aaya tha

Salahuddin Ayyub

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1982

bandisheñ toḌ ke aisā to nikal aayā thā

chāñd jaise ki falak se ye phisal aayā thā

merā ye dil jise patthar bhī bahut narm lage

barf jaisā mire siine meñ pighal aayā thā

aisī vaadī se bhalā kaun palaT kar aa.e

ek bachcha thā maiñ jo nikal aayā thā

tum ko andar baġhāvat koī ilm nahīñ

jism ko piiTh pe rakkhā thā to chal paayā thā

haañ maiñ royā thā nikalte hue us roz magar

tere māthe pe bhī thoḌā to bal aayā thā

ek chhoTī guzārish mirī ab vaqt se hai

baar baar aayā kare jaise vo kal aayā thā

Top Urdushayar.com