Shahab Jafri

ab kahan le ke chhupen uryan badan aur tan jala

Shahab Jafri

Banaras, Uttar pradesh, India

1930-2000
ab kahāñ le ke chhupeñ uryāñ badan aur tan jalā
dhuup aisī hai ki saa.e se bhī pairāhan jalā
chhīn lo ehsās mujh se chhīn lo merā shu.ūr
is ghaTā meñ tan phuñkā is raushnī se man jalā
zindagī dasht-e-sarāb aur sar pe ik sūraj muhīt
maiñ to maiñ huuñ mere saa.e kā bhī sab tan man jalā
kis sadā kī zarb se TuuTā sukūt-e-sañg-e-dasht
ek chiñgārī uḌī saarā kā saarā ban jalā
dil jo thā siine meñ bach sakte the kab ahl-e-ḳhirad
shahr meñ ik shor thā dāman jalā dāman jalā
dil-dukhoñ kī ḳhaak par kī shab-nashīnī maah ne
din kabhī niklā to ik sūraj sar-e-madfan jalā
tīrgī kī āñdhiyāñ uThtī rahīñ har nuur se
ik charāġh aisā hai siine meñ ki be-roġhan jalā
rafta rafta ho ga.e dast-e-talab ahl-e-junūñ
rāstoñ par sab liye baiThe haiñ ik dāman jalā
ghuT ke rah saktī thī kab tak ātish-e-rañg-e-bahār
zarb-e-mausam bhī kuchh aisī thī ki sab gulshan jalā
jal gayā to kyā huā āḳhir to maiñ kundan huā
ham-nashīñ dāman kī kyā jab man jalā dāman jalā
Top Urdushayar.com