Shahab Jafri

be-sar-o-saman kuchh apni taba se hain ghar mein hum

Shahab Jafri

Banaras, Uttar pradesh, India

1930-2000
be-sar-o-sāmāñ kuchh apnī tab.a se haiñ ghar meñ ham
shahr kahte haiñ jise haiñ us ke pas-manzar meñ ham
shaam Duubī paḌ rahe sūraj ke dar par shab kī shab
sub.h bikhrī chal paḌe ḳhud ko liye Thokar meñ ham
āgahī tū ne hameñ kin vus.atoñ meñ gum kiyā
be-nishāñ har mulk meñ be-āsrā har ghar meñ ham
apne hī sahrā meñ kho jā.eñge andāza na thā
bāzgasht apnī liye phirte haiñ apne sar meñ ham
sātveñ dar tak pukār aa.ī ḳhudī ko be-ḳhudī
aur har dar se javāb aayā nahīñ haiñ ghar meñ ham
terī dastak thī ki sannāTā vahī har shaam kā
rahrav-e-koh-e-nidā haiñ ghar ke bām-o-dar meñ ham
chār-sū sahrā meñ hai dard-e-anassahrā kī guuñj
kaaT kar apnī zabāñ rakh aa.e the patthar meñ ham
chhān ye sahrā ghuTī haiñ is kī chauhad meñ sadā.eñ
kaaT ye parbat dabe haiñ is kī ḳhākistar meñ ham
ab hameñ bhātā nahīñ paiham sadāoñ kā nuzūl
ab to ḳhud gūñje hue haiñ gumbad-e-be-dar meñ ham
kiyāñ makāñ taakā hai dil ne raat aur din se pare
be-zabāñ hote chale haiñ qaid-e-bām-o-dar meñ ham
jaane is rah-rav kī nazreñ kaun sī manzil pe hoñ
ek kāñTā sā khaTakte haiñ dil-e-rahbar meñ ham
zahr kā pyāla ho piinā yā uThānī ho salīb
sadiyoñ ba.ad aa.eñ magar hote haiñ is manzar meñ ham
dasht-dar-dasht āsmāñ-bar-dosh chalte haiñ 'shahāb'
ham se banjāre janm apnā liye Thokar meñ ham
Top Urdushayar.com