Shahab Jafri

rutba-e-dard ko jab apna hunar pahunchega

Shahab Jafri

Banaras, Uttar pradesh, India

1930-2000
rutba-e-dard ko jab apnā hunar pahuñchegā
ham-nashīñ zabt-e-suḳhan kā bhī asar pahuñchegā
be-sadārāt se aajiz hai mirā dast-e-junūñ
koī din tā-ba-garebān-e-sahar pahuñchegā
khiñch ke rah mujh se magar zabt kī talqīn na kar
ab mirī aah se tujh ko na zarar pahuñchegā
bātoñ bātoñ meñ sab ahvāl-e-judā.ī mat pūchh
kuchh kahūñgā to tire dil pe asar pahuñchegā
rañj uThāte haiñ mire zabt-e-fuġhāñ se ham-sā.e
le ke tum tak koī marne kī ḳhabar pahuñchegā
mere marne se ġham-e-ishq na mar jā.egā
mujh ko chhoḌegā to ġham-ḳhvār ke ghar pahuñchegā
apne gesū to sambhālo ki khule jaate haiñ
varna ilzām mire shauq ke sar pahuñchegā
tum ko jiinā hai to kuchh aib bhī lāzim haiñ 'shahāb'
zindagī ko to na faizān-e-hunar pahuñchegā
Top Urdushayar.com