shaam rakhtī hai bahut dard se betāb mujhe
le ke chhup jā kahīñ ai ārzū-e-ḳhvāb mujhe
ab maiñ ik mauj-e-shab-e-tār huuñ sāhil sāhil
raah meñ chhoḌ gayā hai mirā mahtāb mujhe
ab tak ik sham-e-siyah-posh huuñ sahrā sahrā
tujh se chhuT kar na milī rahguzar-e-ḳhvāb mujhe
sāhil-e-āb-o-sarāb ek hai manzil manzil
tishnagī kartī hai sairāb na ġharqāb mujhe
maiñ bhī sahrā huuñ mujhe sañg samajhne vaalo
apnī āvāz se karte chalo sairāb mujhe
maiñ bhī dariyā huuñ har ik samt ravāñ huuñ kab se
merā sāhil bhī nahīñ manzil-e-pāyāb mujhe
ab mujhe DhūñDh na āġhosh-e-gurezāñ har-sū
le uḌī ḳhaak bahā le gayā sailāb mujhe
shaam pūchhe to na kahnā ki maiñ duniyā meñ nahīñ
le ke phir aa.egā is ghar meñ mirā ḳhvāb mujhe