dil par vafā kā bojh uThāte rahe haiñ ham
apnā har imtiyāz miTāte rahe haiñ ham
muñh par jo ye jale hue dāman kī raakh hai
sho.aloñ meñ zindagī ke nahāte rahe haiñ ham
itnā na khul sakā ki havā kis taraf kī hai
saare jahāñ kī ḳhaak uḌāte rahe haiñ ham
āñkhoñ se dil tak ek jahān-e-sukūt hai
sunte haiñ is dayār se jaate rahe haiñ ham
terā ḳhayāl māne-e-arz-e-hunar huā
kis kis tarah se jī ko jalāte rahe haiñ ham
kis kī sadā sunī thī ki chup lag ga.ī 'shahāb'
sātoñ suroñ kā bhed gañvāte rahe haiñ ham