Shahab Jafri

dasht-e-ghurbat hai to wo kyun hain KHafa humse bahut

Shahab Jafri

Banaras, Uttar pradesh, India

1930-2000
dasht-e-ġhurbat hai to vo kyuuñ haiñ ḳhafā ham se bahut
ham dukhī baiThe haiñ lag chal na sabā ham se bahut
kyā hai dāman meñ ba-juz gard-e-mah-o-sāl-e-umīd
kyuuñ ulajhtī hai zamāne kī havā ham se bahut
ab ham iz.hār-e-alam karne lage haiñ sab se
ab uThā.ī nahīñ jaatī hai jafā ham se bahut
kaun mausam hai ki patthar se lahū ristā hai
ḳhūñ-bahā māñge hai ab dil kī sadā ham se bahut
dād-e-shorīda-sarī paa.e jo sar se guzre
duur bhāge hai abas mauj-e-balā ham se bahut
kar to deñ qissa-e-daurāñ meñ tire ġham kā bayāñ
par lahū māñge hai ye fikr-e-rasā ham se bahut
chaḌhte sūraj ke pujārī vahī nikle jo 'shahāb'
karte the tazkira-e-sidq-o-safā ham se bahut
Top Urdushayar.com