Shahab Jafri

hijr-o-visal-e-yar ka mausam nikal gaya

Shahab Jafri

Banaras, Uttar pradesh, India

1930-2000
hijr-o-visāl-e-yār kā mausam nikal gayā
ai dard-e-ishq jaag zamāna badal gayā
kab tak ye roz-e-hashr sun ai shām-e-intizār
kyā raat ab na aa.egī sūraj to Dhal gayā
ab ke kahāñ se aa.e ho sāvan ke bādalo
dekho to saarā baaġh hī barkhā se jal gayā
jā.ūñ kahāñ ki taab nahīñ arz-e-naġhma kī
paanī meñ aag lag ga.ī patthar pighal gayā
sātoñ suroñ ke raag se jaltī hai dil kī aag
bād-e-fanā maiñ bhī mirā sho.ala sambhal gayā
us kī sadā se raag nikāle 'shahāb' ne
ik shab lagī vo aag ki nādān jal gayā
Top Urdushayar.com