ye mahshar-e-soz-o-sāz kyā hai
āḳhir mirā imtiyāz kyā hai
dil mahv-e-sadā-e-dard kyuuñ hai
ye arz-e-hunar-gudāz kyā hai
maf.hūm-e-navā-e-rāz kyā thā
āvāz-e-shikast-e-sāz kyā hai
Dartā huuñ ki apnā ġham na ho jaa.e
apne se ye ehtirāz kyā hai
pā kar bhī tujhe maiñ sochtā huuñ
miTne kā mire javāz kyā hai
ab tū jo milā to maiñ nahīñ huuñ
mujh se tirā imtiyāz kyā hai
kis kis ko bhulā chukā huuñ ai ġham
ye be-dilī-e-niyāz kyā hai
akasr to tirā burā bhī chāhā
kyā jāniye ḳhud pe naaz kyā hai