qaid-e-imkāñ se tamannā thī gamīñ chhūT ga.ī
paañv ham ne jab uThāyā to zamīñ chhūT ga.ī
liye jaatā hai ḳhalāoñ meñ jamāl-e-shab-o-roz
din kahīñ chhūT gayā raat kahīñ chhūT ga.ī
zindagī kyā thī maiñ ik mauj ke pīchhe thā ravāñ
aur vo mauj ki sāhil ke qarīñ chhūT ga.ī
būd-o-bāsh apnī na pūchho ki isī shahr meñ ham
zindagī laa.e the ghar se so yahīñ chhūT ga.ī
dil se duniyā tak ik aisā hī safar thā jis meñ
kahīñ dil aur kahīñ duniyā-e-hasīñ chhūT ga.ī
sub.h-dam dil ke makāñ se sabhī rishte TuuTe
dar-o-dīvār se fariyād-e-makīñ chhūT ga.ī
kyā ġharīb-ul-vatanī sī hai ġharīb-ul-vatanī
āsmāñ saath chalā ghar kī zamīñ chhūT ga.ī