Syed Amin Ashraf

jo na ho dard-ashna wo sarKHushi kis kaam ki

Syed Amin Ashraf

1931
jo na ho dard-āshnā vo sarḳhushī kis kaam kī
shā.irī tamsīl yā sūrat-garī kis kaam kī
ġham jo auroñ kā ho apnā ġham samajh kar lījiye
varna dil kā soz āñkhoñ kī namī kis kaam kī
ek jaise hoñ agar sañg-o-samar kyā dekhnā
sehn-e-yaḳh-basta meñ koī raushnī kis kaam kī
ḳhāk-dān-e-tīra meñ ik ālam-e-raushan bhī hai
be-junūñ bhī ye munavvar āgahī kis kaam kī
vo to ik sailāb thā sab kuchh bahā kar le gayā
naam kī taḳhtī sar-e-dīvār thī kis kaam kī
rañj harf-e-nā-shunīda āsmāñ nā-āshnā
ai havā-e-dard āshufta-sarī kis kaam kī
irtibāt-e-chashm-o-lab kā bhī koī sāmāñ to ho
varna us ḳhāl-e-siyah kī dilkashī kis kaam kī
Top Urdushayar.com