kisī ḳhayāl kī rau meñ thā muskurāte hue
magar vo chauñk paḌā thā nazar milāte hue
chamak thī ik pas-e-dīvār sā.iqa-bar-dosh
ki taaq o dar the shab-e-māh meñ nahāte hue
magar navishta-e-dīvār lā-zavālī hai
zamāna karvaTeñ letā hai aate jaate hue
kabhī kabhī koī lamha bhī jāvedānī hai
guzar ga.iiñ ka.ī sadiyāñ yahī sunāte hue
jo rah gayā thā kahīñ ik sahāb-e-nā-rafta
bikhar ke ḳhaak huā paañv laḌkhaḌāte hue
maiñ Dagmagāyā to sāhil kā thā na maujoñ kā
chamak rahī thī nadī āsmāñ uḌāte hue
zarā sī raushnī phūTī to sub.h-dam sūraj
fazā meñ Duub gayā āstīñ chaḌhāte hue
koī kisī kā nahīñ is sarā-e-fānī meñ
koī charāġh bujhā ye sadā lagāte hue