safar ke tajraboñ meñ gard-e-pā bhī aa hī jaatī hai
magar us pech-o-ḳham se kuchh jilā bhī aa hī jaatī hai
jo chaltā huuñ falak se ḳhuuñ ke favvāre baraste haiñ
jo ruktā huuñ samūm-e-fitna-zā bhī aa hī jaatī hai
ḳhirad kī saañs bhī ruk jaatī hai tīra-ḳhayālī se
tah-e-ehsās nādīda balā bhī aa hī jaatī hai
jo paude sahn meñ khilte haiñ un ko dhuup lagtī hai
daraḳhtoñ se tar-o-tāza havā bhī aa hī jaatī hai
hare rah jā.eñge jāñ-dār patte zard mausam meñ
ḳhizāñ-baḳhtī meñ jiine kī adā bhī aa hī jaatī hai
unhīñ se qarya-e-jāñ meñ vufūr-e-dard hotā hai
unhīñ nazroñ meñ tāsīr-e-shifā bhī aa hī jaatī hai