ek manzar kahkashānī ik ḳhat-e-bar-āb bhī
zindagī bālā-nashīnī bhī kamand-e-ḳhvāb bhī
kuchh junūñ kī sarfaroshī kuchh ḳhirad kā bāñkpan
varna hai uzv-e-muattal ālam-e-asbāb bhī
duur sāhil se tamāshā dekhte rahte haiñ log
kashtiyāñ hotī haiñ zer-e-āb bhī ġharqāb bhī
ḳhastagī meñ tujh se kyā shikva ki ai jān-e-murād
is bulandī se nazar aate nahīñ ahbāb bhī
dil bhī lag jā.egā mushkil sahl bhī ho jā.egā
kār-e-duniyā meñ milā deñ kār-e-pech-o-tāb bhī
apnī dhun par lahlahānā kisht-e-jāñ kī ḳhāsiyat
mausamoñ ke darmiyāñ tishna bhī hoñ sairāb bhī
us nazar kī shoḳhiyoñ ne lā-ubālī kar diyā
us kī nazroñ ne sikhā.e shauq ke ādāb bhī
farq itnā hai ki hairāñ ho ke rah jaatī hai aañkh
aag barsātā thā pahle dīda-e-shādāb bhī
tairne joḌe batoñ ke ab yahāñ aate nahīñ
gaañv meñ paanī se ḳhālī ho gayā tālāb bhī
tere jalvoñ ne miTāyā imtiyāz-e-roz-o-shab
dekhtā huuñ māh-e-nau bhī mehr-e-ālam-tāb bhī
maiñ thā nā-ma.alūm shai thī dīda-e-hairān thā
aise manzar se qarīñ thā mauja-e-sailāb bhī
shā.irī kyā hai 'amīn-ashraf' navā-e-barg ne
ishq-nāma bhī ġhazal bhī āsmāñ mehrāb bhī