Syed Amin Ashraf

halak-e-justuju tha hirs ka mara na tha pahle

Syed Amin Ashraf

1931
halāk-e-justujū thā hirs kā maarā na thā pahle
dahī dil hai magar itnā bhī āvāra na thā pahle
manāzir bāġh-o-ban ke dil-kushā bhī dil-shikan bhī the
magar fitrat-shikan yuuñ vaqt kā dhārā na thā pahle
jo hotā gulshan-e-ḳhūbī to hotī shān-e-mahbūbī
vahī insāñ hai lekin shāḳh-e-sad-pāra na thā pahle
sukūñ thā sāya-e-tūbā jo mīThī niiñd sote the
ki har ghar ḳhāna-e-askandar-o-dārā na thā pahle
chaman ke saath jalnā hai safīrān-e-chaman ko bhī
tamāzat thī magar phūloñ meñ añgārā na thā pahle
ye duniyā sā.ebāñ DhūñDegī phir agle zamānoñ meñ
ki zer-e-āsmāñ ye qahr-e-nazzārā na thā pahle
maiñ jū-e-nishāt-o-ġham huuñ koh-o-bāġh-o-sahrā meñ
ki maarā hijr kā thā husn kā maarā na thā pahle
sitāra thā koī jis se munavvar thī ye tanhā.ī
nazar meñ zau-fishāñ ye āsmāñ saarā na thā pahle
Top Urdushayar.com