munavvar aur mub.ham isti.āre dekh letā huuñ
maiñ sote jāgte dilkash nazāre dekh letā huuñ
maiñ chashm-e-nārasā se khīñchtā rahtā huuñ tasvīreñ
koī saa.at ho sūraj chāñd taare dekh letā huuñ
maiñ bachchoñ kī nazar se dekhtā huuñ chāñd meñ thālī
magar chashm-e-hunar se māh-pāre dekh letā huuñ
akelā DhūñDtā phirtā huuñ ranj-e-nā-shanāsā.ī
ki jiine ke liye mumkin sahāre dekh letā huuñ
saham kar baiTh jaatā huuñ galī meñ shor-e-girya se
nikalnā hai to phir imkān saare dekh letā huuñ
saḌak kī jagmagātī raushnī meñ ḳhauf lagtā hai
guzartā huuñ to mausam ke ishāre dekh letā huuñ
mohabbat bhī zarūrat pesh-bīnī bhī zarūrat hai
maiñ kār-e-dostī meñ sab ḳhasāre dekh letā huuñ