qadam-e-ḳhush-badanāñ sho.abda-gar hai ki nahīñ
ye zamīñ-lāla-ruḳh-o-kisht-e-guhar hai ki nahīñ
dekhiye rañg-e-hinā rū-e-shafaq josh-e-bahār
tā.ir-e-ḳhvāb to hai tāb-e-safar hai ki nahīñ
be-sabab maiñ nahīñ tāsīr-e-nazar kā qaa.il
zaḳhm ġhuncha-sifat-o-shāḳh-e-samar hai ki nahīñ
terī āvāz kalīd-e-chamanastīñ hai magar
sīna-e-nai meñ gudāz-e-gul-e-tar hai ki nahīñ
dekhne jā.ūñ qad-o-āriz-o-gesū-e-sanam
sochtā huuñ ki koī rāh-o-mafar hai ki nahīñ
sar paTaktī huī ik mauj ne dariyā se kahā
āb-e-āsūda-e-dariyā mirā ghar hai ki nahīñ
zor-e-amvāj-e-talātum se hai dariyā dariyā
harf-e-be-sūd ki dariyā meñ guhar hai ki nahīñ