jo Dar apnoñ se hai ġhairoñ se vo Dar ho nahīñ saktā
ye vo ḳhanjar hai jo siine se bāhar ho nahīñ saktā
jo sach pūchho to ye tasvīr bhī hai sāneha jaisī
kisī bhī sānehe par koī shashdar ho nahīñ saktā
khaTaktī hai kisī shai kī kamī is dār-e-fānī meñ
shikasta bām-o-dar jis ke na hoñ ghar ho nahīñ saktā
ye āḳhir kyuuñ ki har din ek mausam ek hī manzar
jahāñ zer-o-zabar ho us se behtar ho nahīñ saktā
na shāmil ho jo āshufta-ḳhayālī zehn-e-mohkam meñ
vo kuchh bhī ho chaman-zār-e-muattar ho nahīñ saktā
kalī kā lab badan kundan kā qāmat sarv kī lekin
vafā nā-āshnā mere barābar ho nahīñ saktā
faqat sūrat meñ kyā rakkhā hai ai husn-e-tamāshā haiñ
ki kār-e-ā.ina se maiñ sikandar ho nahīñ saktā
kisī ko chāhne se baaz aanā kaise mumkin hai
likhā hai jo kitāboñ meñ vo aksar ho nahīñ saktā
tire inkār ko is zāviye se dekhtā huuñ maiñ
tirā milnā bhī me.ār-e-muqaddar ho nahīñ saktā
ye maanā aib bhī haiñ saikḌoñ kis meñ nahīñ hote
'amīn-ashraf' magar tujh sā qalandar ho nahīñ saktā