shikast-e-ḳhvāb-e-tarb-e-zā se hosh-mand huā
uThe jo haath to bāb-e-qubūl band huā
guzar rahā hai junūñ reg-e-āzmā.ish se
kabhī sabā kabhī sarsar kabhī samand huā
karūñ bhī kyā ki nazar āsmāñ pe rahtī hai
maiñ ik sitāra-e-shab kā niyāz-mand huā
ajiib shai hai shafaq-rezī-e-tamannā bhī
ki sair-e-jāñ bhī huī dard bhī do-chand huā
nazar bhaTaktī rahī aur maiñ rahā āzād
nazar jamī to maiñ shāyān-e-qaid-o-band huā
hilā na apnī jagah se na chāk-dāman thā
havā se laḌ ke magar barg-e-arjumand huā
ye iftiḳhār-e-shajar shāḳh-e-nau-bahār se hai
jo pā.emāl-e-ḳhizāñ thā vo sar-buland huā
bahut qarīb thā mujh se mirā harīf na thā
to kyuuñ vo sāhib-e-dil darpai gazand huā
nahīñ hai qāmat-e-bālā se kam mirā qad bhī
vo āsmāñ hai to ho maiñ bhī ḳhud-pasand huā