zeb us ko ye āshob-e-gadā.ī nahīñ detā
dil mashvara-e-nāsiya-sā.ī nahīñ detā
kis dhund kī chādar meñ hai lipTī koī āvāz
dastak ke sivā kuchh bhī sunā.ī nahīñ detā
hai tā-hadd-e-imkāñ koī bastī na bayābāñ
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb dikhā.ī nahīñ detā
aalam bhī qafas rañg hai aisā ki nazar ko
is dām-e-tahayyur se rihā.ī nahīñ detā
yādoñ ko sulā detā hai saa.e meñ shajar ke
vo hausla-e-dard-e-rasā.ī nahīñ detā
dil us kā hathelī pe hai mere liye lekin
hāthoñ meñ mire dast-e-hinā.ī nahīñ detā
ārā.ish-e-jāñ ke liye kaafī nahīñ vahshat
mujh ko to koī zaḳhm dikhā.ī nahīñ detā
is ishq meñ kuchh shā.iba-e-hirs bhī hogā
maiñ quvvat-e-bātin kī safā.ī nahīñ detā
raushan hai shab-e-hijr ba-andāz-e-ta.alluq
vo mehr-e-nazar dāġh-e-judā.ī nahīñ detā