rū-e-ḳhandāñ rag-e-jāñ dīda-e-giryāñ jaise
qafas-e-rañg hai ye ālam-e-imkāñ jaise
nashsha-e-sher uḌaa.e liye jaatā hai mujhe
jaise rahvār-e-sabā taḳht-e-sulaimāñ jaise
aarzū hī se hai hañgāma-e-ālam saarā
aarzū hī se hai dil tiflak-e-nādāñ jaise
aañch bhī aatī hai ḳhush-pairahnī se aksar
kahīñ roīdagī-e-sho.ala ho pinhāñ jaise
shām-e-tanhā.ī kalīd-e-dar-e-nazzārā hai
jaise mizhgān-e-siyah abru-e-jānāñ jaise
harf-e-sāda varaq-e-nam suḳhan-e-ḳhud-rafta
dil hai yā mīr-taqī-'mīr' kā dīvāñ jaise
be-ravā be-sar-o-pā ek alam-nāk sadā
zindagī qāfila-e-shām-e-ġharībāñ jaise
būḌhe bargad ke tale soch meñ gum mard-e-faqīr
aane vaalā hai kahīñ se koī tūfāñ jaise