Syed Amin Ashraf

pech-dar-pech sawalat mein uljhe hue hain

Syed Amin Ashraf

1931
pech-dar-pech savālāt meñ uljhe hue haiñ
ham ajab sūrat-e-hālāt meñ uljhe hue haiñ
ḳhatm hone kā nahīñ mārka-e-ishq-o-havas
mas.ale saare mafādāt meñ uljhe hue haiñ
kis ḳhasāre meñ nazar hai ki simaT jaatī hai
kuchh abhī dā.era-e-zāt meñ uljhe hue haiñ
in meñ to mujh se ziyāda hai pareshāñ-nazarī
ā.īne shahr-e-kamālāt meñ uljhe hue haiñ
is pe daavā bhī ki ye kār-e-masīhā.ī hai
saare az.hān ḳhurāfāt meñ uljhe hue haiñ
kurra-e-ḳhāk pe paḌte hī nahīñ un ke qadam
dīda-var sair-e-tilismāt meñ uljhe hue haiñ
nūr-e-mutlaq kī hai tashbīh na tamsīl magar
ham ishārāt o kināyāt meñ uljhe hue haiñ
Top Urdushayar.com