Syed Amin Ashraf

fasad-e-qalb-o-nazar hasil-e-tamasha dekh

Syed Amin Ashraf

1931
fasād-e-qalb-o-nazar hāsil-e-tamāshā dekh
savār-e-markab-e-duniyā ġhubār-e-duniyā dekh
tamām kār-e-ajal hai numūd-e-past-o-farāz
navishta-e-sar-e-kohsār-o-bāġh-o-dariyā dekh
har imtihāñ hai na.e sānehe kā pas-manzar
dikhā.ī kuchh nahīñ detā to rāh-e-fardā dekh
vo apnī teġh se ḳhud hī lahūluhān huā
mire badan pe to har zaḳhm hai usī kā dekh
ajab nahīñ ki ho dīvār nuqta-e-mauhūm
makān ho ki makīñ do diloñ kā milnā dekh
jo ho sake nigah-e-aib-jū utaar ke pheñk
kamāl-e-hairat-o-fitrat jamāl-e-zebā dekh
kabhī kabhī nigah-e-sard ho ḳhumār-ālūd
kabhī kabhī dil-e-be-mehr ko taḌaptā dekh
kabhī kabhī sahī uḌ jaa.e hosh kā dāman
kabhī kabhī to ye kaifiyyat-e-nazāra dekh
ḳhayāl dil se nazar hai ḳhayāl se nāzuk
zarā sambhāl ke guldasta-e-tamannā dekh
ye vāqi.a hai ki ḳhushbū-e-mushk aatī hai
balā-e-jāñ sar-e-bāzār mujh ko rusvā dekh
Top Urdushayar.com