hai kyuuñ naql-e-makānī ye havā-e-tāza-tar kyā hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā idhar kyā hai udhar kyā hai
numūd-e-ibtidā kyā intihā kyā hai bashar kyā hai
ye kār-e-naqsh-gar kyuuñ hai ye hairat kā safar kyā hai
razā us kī to phir chubhtā huā ye neshtar kyā hai
badan kyuuñ hai hisār-e-ḳhauf meñ āñkhoñ meñ Dar kyā hai
jo sach pūchho ye tasvīreñ kisī ik kaifiyat kī haiñ
ḳharosh-e-naġhma-zan kyuuñ hai sadā-e-nauha-gar kyā hai
na honā bhī hai honā be-makānī lā-makānī hai
sar-e-kohsār yā farsh-e-zamīñ par huuñ ḳhabar kyā hai
nahīñ bujhtī shikam kī aag kār-e-be-sukūnī meñ
sarīr-o-tāj-o-kishvar kyā manāl-o-māl-o-zar kyā hai
jise nā-ḳhūb kahte haiñ usī ko ḳhuub kahte haiñ
tamīz-e-ḳhair-o-shar meñ nukta-e-sad-motabar kyā hai
parī-timsāl haiñ sub.heñ garībāñ-chāk haiñ shāmeñ
talattuf hai ki mahshar jaane tāsīr-e-nazar kyā hai
faqat ik lams jism-o-rūh ko shādāb rakhtā hai
hunar-mandoñ se pūchho qand-lab meñ ye hunar kyā hai
harī thiiñ khetiyāñ murjhā ga.iiñ bād-e-bahārī se
na jaane phuul se chehre kā mausam par asar kyā hai
dam-e-nazzāra us ne chupke chupke khol diiñ zulfeñ
mirā ye pūchhnā hī thā ki nāz-e-bahr-o-bar kyā hai
'amīn-ashraf' vo rahtā hai kahīñ is shahr meñ lekin
mile koī to pūchhūñ sūrat-e-dīvār-o-dar kyā hai