ibtidā thī na intihā kuchh der
darmiyāñ thī magar sadā kuchh der
vo mire saath saath chaltā thā
maiñ jise pūchhtā rahā kuchh der
us kā dhyān us kī yaad jaise gulāb
nāz-parvarda-e-sabā kuchh der
ajnabī shakl par paḌī thī nazar
aa.ī hai bu-e-āshnā kuchh der
aur kyā thī haqīqat-e-duniyā
haath par haath thā dharā kuchh der
guhar-e-ḳhasta āb-dār huā
ḳhāk-o-ḳhūñ meñ paḌā rahā kuchh der
asl kirdār dast-e-gul-chīñ hai
bād-e-sarsar thī shola-zā kuchh der