Syed Amin Ashraf

dimagh-o-dida-o-dil bar-sar-e-paikar hote hain

Syed Amin Ashraf

1931
dimāġh-o-dīda-o-dil bar-sar-e-paikār hote haiñ
mohabbat kī kahānī meñ ka.ī kirdār hote haiñ
ye duniyā bāġh-e-zebā hai magar chashm-e-tamāshā meñ
sar-e-shāḳh-e-tamannā phuul bhī do-chār hote haiñ
kisī se ishq ho jaane ko afsāna nahīñ kahte
ki afsāne mata-e-kūcha-o-bāzār hote haiñ
ḳhayāloñ meñ kahīñ naġhma kahīñ ġhuncha kahīñ sahbā
dam-e-nazzāra ye nāzuk badan talvār hote haiñ
kisī pur-pech rasm-e-dostī kā mā-hasal ye hai
ghanere jañgaloñ ke rāste hamvār hote haiñ
safā.ī se kaho jo kuchh kaho kyuuñ zaḳhm dhote ho
masīhā kah ke ham qātil ke jānib-dār hote haiñ
Top Urdushayar.com