Syed Amin Ashraf

hai irtibaat-shikan daeron mein baT jaana

Syed Amin Ashraf

1931
hai irtibāt-shikan dā.eroñ meñ baT jaanā
chaman kā mauja-e-bād-e-sabā se kaT jaanā
kiran ke haq meñ ye sūraj kā faisla kyuuñ hai
jo farsh-e-ḳhāk pukāre to duur haT jaanā
maiñ par-shikasta na thā bādaloñ ke biich magar
mirī uḌaan kā zanjīr se lipaT jaanā
ye sāz-o-raḳht-e-dil-e-bahra-mand kyā shai hai
tamām bikhre hue dard kā simaT jaanā
ye kaun jhāñk rahā thā darīcha-e-shab se
ajab samāñ thā ghane bādaloñ kā chhaT jaanā
kahīñ pe dast-e-nigārīñ kahīñ lab-e-lālīñ
vo sote sote mirī niiñd kā uchaT jaanā
miyān-e-rāh ajab pur-fazā thī gahrī jhiil
maiñ Duub jaatā ki achchhā huā palaT jaanā
Top Urdushayar.com