vo ḳhud ko mere andar DhūñDtā hai
vo sūrat hai ye sūrat-āshnā hai
magar ye apne apne dā.ere haiñ
koī naġhma koī naġhma-sarā hai
vo bādal hai to kyuuñ hai jū-e-kam-āb
samundar hai to kyuuñ par taultā hai
nadī ke darmiyāñ sīdhī saḌak hai
nadī ke paar kachchā rāsta hai
vo nā-maujūd har shai meñ hai maujūd
ye aalam bhī ajab hairat-fazā hai
na jaane kyā sar-e-nazzāra hogā
use dekhā nahīñ dil mubtilā hai