suḳhan kī shab lahū hotī rahegī
kisī se guftugū hotī rahegī
vo sūraj hai to ho nazdīk-e-jāñ bhī
ye tābish chār-sū hotī rahegī
darīda-dāmanī hai be-kalī se
isī se ye rafū hotī rahegī
koī ġhuncha savār-e-kahkashāñ thā
ḳhabar ye kū-ba-kū hotī rahegī
maiñ aksar sochtā rahtā huuñ kab tak
zamīñ be-ābrū hotī rahegī
samundar ke kināre mil rahe haiñ
ye duniyā āb-jū hotī rahegī
ḳhazīne kā.enātī kam na hoñge
namūd-e-justujū hotī rahegī
nihāl-e-ishq afsurda na hogā
tamanna-e-numū hotī rahegī
na vo hogā na ham lekin ye duniyā
harīs-e-rañg-o-bū hotī rahegī