havā-e-tund hai be-samt-o-be-qarīna bhī
ravāñ-davāñ isī aalam meñ hai safīna bhī
ḳharāsh-e-zehn bhī hai zīnat-e-nigāh bhī hai
ye zindagī ḳhas-o-ḳhāshāk bhī nagīna bhī
ye chashm-e-nam ki hai dānā-e-ġham baḌī shai hai
chhupā huā hai isī ḳhaak meñ ḳhazīna bhī
khilā gulāb to manzar badal gayā saarā
jamāl-e-sub.h bhī hairat bhī ābgīna bhī
baras rahī hai havā-e-tarab to yaad aayā
machal rahī hai fazā meñ navā-e-sīna bhī
hazār lutf-o-ināyat ba-pā.emālī-e-dil
milā hai husn-e-ḳhudā-dād ko qarīna bhī