vajūd ko jigar-e-mo'tabar banāte haiñ
alam pe haath to nezoñ pe sar banāte haiñ
chaman bhī ho koī amboh-e-ḳhār-o-ḳhas jaise
ye kār-ḳhāne to barg o samar banāte haiñ
havā kā tabsira ye sākinān-e-shahr pe thā
ajiib log haiñ paanī pe ghar banāte haiñ
qarīn-e-aql hai kyā koī sochtā hī nahīñ
ḳhabar uḌāne se pahle ḳhabar banāte haiñ
nahīñ ye shart ki sab tez-gām ho jaa.eñ
jo dīda-var haiñ unheñ ham-safar banāte haiñ
kaḌī ho dhuup to do phuul pyaar ke hañs kar
tapsīda rāhoñ meñ shāḳh-e-shajar banāte haiñ
kamāl-e-kibr se kahtā thā chārāgar merā
ki ham tufañg o sināñ pusht par banāte haiñ
kabhī sukūñ kabhī josh-e-junūñ kabhī hairat
mirā mizāj mire kūza-gar banāte haiñ
kiyā rahīn-e-hunar ham ko nā-rasā.ī ne
udaas bāñhoñ meñ shams o qamar banāte haiñ
ḳhayāl-e-ḳhair hasīnoñ meñ hai ki vaqt-e-ḳhirām
zamīñ ko mādan-e-lāl-o-guhar banāte haiñ