Syed Amin Ashraf

halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala

Syed Amin Ashraf

1931
halqa-e-shām-o-sahar se nahīñ jaane vaalā
dard is dīda-e-tar se nahīñ jaane vaalā
pā-ba-zanjīr nikālegā safar kī tadbīr
tantana farq-e-hunar se nahīñ jaane vaalā
tishna-lab ko to mayassar nahīñ ik jur.a-e-āb
bul-havas luqma-e-tar se nahīñ jaane vaalā
munqat'a karte haiñ bāġh-o-shajar-va-shāḳh use
rabt mehnat kā samar se nahīñ jaane vaalā
pur-kashish bhī hai sar-afrāzī-e-duniyā bhī magar
zahr ganjīna-e-zar se nahīñ jaane vaalā
tark-e-duniyā ho ki duniyā ki talab ho pyāre
ye vo saudā hai jo sar se nahīñ jaane vaalā
is pe ek aur ġhazab abru-e-ḳhamdār bhī hai
bach ke is teġh-e-nazar se nahīñ jaane vaalā
saarī ḳhushbū simaT aa.ī alif-e-qāmat kī
gul-e-tar kāf-e-kamar se nahīñ jaane vaalā
pairav-e-sher-e-ḳhudā huuñ asadullahī huuñ
yā-'alī' maiñ tire dar se nahīñ jaane vaalā
Top Urdushayar.com