sabhī taare sabhī jugnū mere
ab aur āñchal hai aur aañsū mere
kyā hikāyāt-e-shab-o-roz kahūñ
zehn meñ haiñ ruḳh-o-gesū mere
qaid kar le koī ā.īnoñ meñ
aks bikhre hue har-sū mere
kaash aisā ho ki titlī ban kar
haath aa jaa.e vo ḳhushbū mere
sab kī āñkhoñ meñ uḌāneñ haiñ mirī
kis ne dekhe par-o-bāzū mere
ek ma.asūm sā chehra ai 'mauj'
kar gayā zehn pe jaadū mere