kahīñ sho.ala kahīñ ḳhākistar-e-tāza nazar aayā
vahāñ maiñ thā jahāñ phūloñ kā darvāza nazar aayā
bahaktī haiñ havā.eñ phuul be-mausam bhī khilte haiñ
jahān-e-āb-o-gil ham ko ba-andāza nazar aayā
havā kī zahr-nākī abr-e-nā-rafta kī saffākī
mujhe aksar vidā-e-gul kā ḳhamyāza nazar aayā
udāsī thī ki thā ik jalva-e-sad-rañg-o-bū shāyad
dil-e-be-rañg bhī rañgoñ kā shīrāza nazar aayā
shajar kā aks thā āb-e-ravāñ thā aur maiñ bhī thā
samar shāḳh-e-burīda kā tar-o-tāza nazar aayā
zabāñ kā husn bhī hamvār-o-nā-hamvār hotā hai
kahīñ fitrat nazar aa.ī kahīñ ġhāza nazar aayā