shauq-e-vārafta ko malhūz-e-adab bhī hogā
shart hai māl-e-arab pesh-e-arab bhī hogā
lab-o-ruḳhsār meñ hogī gul-o-mahtāb kī baat
aañkh meñ tazkira-e-bint-e-inab bhī hogā
maan letā hai mirī baat mirā hīla-tarāz
aur sab va.adoñ meñ ik va.ada-e-shab bhī hogā
ishq vo shai hai ki barfīle nihāñ-ḳhānoñ meñ
sard paḌ jaa.e sharar-bār to jab bhī hogā
be-ta.alluq hī sahī ye magar us shaḳhs ke paas
dil jo lagtā hai to lagne kā sabab bhī hogā
har galī shahr kī ġhālīcha-e-ushshāq nahīñ
ḳhūn-e-nāhaq hai to phir dād-talab bhī hogā
qahr darvesh to hotā hai ba-jān-e-darvesh
zer-e-farmān jo hotā thā so ab bhī hogā
karb ke zahr kā maarā huā insān hai ye
sar pe sau bojh magar ḳhanda-ba-lab bhī hogā
ik asā paas na ho zo.am-e-kalīmī bhī ho
aisā lagtā hai ki ye kār-e-ajab bhī hogā
yuuñ to be-āb haiñ ḳheme ye jahāñ tak bhī haiñ
dil ye kahtā hai kahīñ abr-e-tarab bhī hogā