Syed Amin Ashraf

phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua

Syed Amin Ashraf

1931
pheñkī kisī ne kañkarī dil yak-ba-yak dariyā huā
dariyā meñ ik sailāb thā sailāb thā umDā huā
dil meñ koī āzār thā vo mujh se yuuñ goyā huā
āzurda-e-tāsīr huuñ dil de diyā achchhā huā
gaahe ba-rañg-e-mehrbāñ gaahe ḳhayāl-e-bad-gumāñ
vo bhī to āḳhir phuul hai kāñToñ meñ hai uljhā huā
is tarah chashm-e-nīm-vā ġhāfil bhī thī bedār bhī
jaise nasha ho raat kā yā sub.h kā taḌkā huā
lutf-e-nazar vo shai lagī jo jis qadar thī ajnabī
rasta na thā jaanā huā chehra na thā dekhā huā
ai ḳhātir-e-mehr-āshnā us ke talavvun par na jā
ye be-ruḳhī thī ik adā vo sarv thā sīdhā huā
vo ilm ho yā shā.irī vo faqr ho yā sarvarī
ham jis qadar jhukte ga.e qad aur bhī ūñchā huā
jañg-o-jadal ke vāste āḳhir baḌe kyuuñ aa ga.e
bāzīcha-e-atfāl thā jhagḌā koī jhagḌā huā
Top Urdushayar.com