ḳhayāl hai ki haqīqat hai yā fasāna hai
vo nīstī ho ki hastī tilism-ḳhāna hai
nazar kā farq man-o-tū kā farq hai shāyad
vahī sarāb vahī ganj-e-āb-o-dāna hai
jo Thahr jaa.e to hai tausan-e-ḳhayāl koī
jo rau meñ ho to ye sūrat-gar-e-zamāna hai
fasād-e-hirs nahīñ qasr-e-shahr tak mahdūd
ki is lapeT meñ aalam kā kārḳhāna hai
mujhe to yuuñ bhī ḳharāb-e-shabāb honā thā
tire jamāl kā jaadū to ik bahāna hai
diloñ kā rabt nahīñ be-takallufī hai ye
kabhī kabhī kī mulāqāt dostāna hai