Syed Amin Ashraf

ajib shai hai tarah-dar bhi tamanna bhi

Syed Amin Ashraf

1931
ajiib shai hai tarah-dār bhī tamannā bhī
raqīb-e-jāñ bhī hai qātil bhī hai masīhā bhī
udaas udaas harīm-e-nigāh be-manzar
dhuāñ dhuāñ ḳhalish-e-rā.egāñ se duniyā bhī
dil-o-dimāġh-o-nafas tishnagī se haiñ raushan
isī kī aag meñ jalte haiñ shahar-o-sahrā bhī
vahī havā-e-jahāñ-tāb mo'atabar hai ki jo
jilā ke chhoḌ ga.ī hai charāġh-e-fardā bhī
talab meñ mujh se to lamha bhī ik nahīñ kaTtā
isī ḳhumār ne kaaTe haiñ koh-o-dariyā bhī
tire ḳhayāl se ḳhalvat bhī anjuman hai mujhe
tire ḳhayāl se hoñ anjuman meñ tanhā bhī
fazā-e-ḳhvāb-e-tarab ne jagā diyā mujh ko
lagī jo aañkh to hone lagā saverā bhī
Top Urdushayar.com