sulh-o-paikār bhī ho aur rifāqat bhī rahe
ḳhuuñ meñ ajdād kī thoḌī sī sharāfat bhī rahe
zehn-e-ḳhvābīda ko masrūf-e-amal rakhnā hai
kyā zarūrī ki ishāroñ meñ sarāhat bhī rahe
ye to mumkin hai faqat gosha-e-tanhā.ī meñ
shor-e-bāzār na ho aur qayāmat bhī rahe
raushnī ke liye darkār hai be-tābī-e-ḳhāk
chāñd lekin hunar-e-shab se ibārat bhī rahe
sunte aa.e haiñ mohabbat hai ibādat ai dost
kabhī hañs-bol ke baiTho to ibādat bhī rahe
shā.irī naġhmagarī sā.at-e-hairānī meñ
tāza-kārī ho magar pās-e-rivāyat bhī rahe