Nayyar Sultanpuri

KHair laya to junun diwar se dar ki taraf

Nayyar Sultanpuri

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1908-1935
ḳhair laayā to junūñ dīvār se dar kī taraf
ab nazar jaane lagī bāhar se andar kī taraf
kashtī-e-ummīd ke har bādbāñ uḌne lage
kis ne ruḳh moḌā havāoñ kā samundar kī taraf
yuuñ bhī hotā hai madārāt-e-junūñ ke shauq meñ
phuul jaise haath uTh jaate haiñ patthar kī taraf
ham ne samjhe the ki ye hogā ma.āl-e-kār-e-ishq
ruḳh kiyā bād-e-bahārī ne mire ghar kī taraf
dī hai 'nayyar' mujh ko saaqī ne ye kaisī ḳhaas mai
sab kī nazreñ uTh rahī haiñ mere sāġhar kī taraf
Top Urdushayar.com